Bakhsh Layalpuri

husul-e-manzil-e-jaan ka hunar nahin aaya

Bakhsh Layalpuri

Kapurthala, Punjab, India

1934-2002
husūl-e-manzil-e-jāñ kā hunar nahīñ aayā
vo raushnī thī ki kuchh bhī nazar nahīñ aayā
bhaTak rahe haiñ abhī ziist ke sarāboñ meñ
musāfiroñ ko shu.ūr-e-safar nahīñ aayā
tamām raat sitāra-shanās rote rahe
nazar gañvā dī sitāra nazar nahīñ aayā
hazār minnateñ kiiñ vāste ḳhudā ke diye
ye rāh-e-rāst pe vo rāhbar nahīñ aayā
zabān-e-sher pe mohar-e-sukūt hai ab tak
jalāl-e-saut-o-suḳhan rañg par nahīñ aayā
vo tak rahe haiñ azal se farāz-e-gardūñ par
nazar kisī ko bhī najm-e-sahar nahīñ aayā
hamāre shahr ke har sañg-bār se ye kaho
hamārī shāḳh-e-shajar par samar nahīñ aayā
har ek moḌ pe ham ne bahut sadā.eñ diiñ
safar tamām huā ham-safar nahīñ aayā
dayār-e-ġhair se merā vo sar-phirā beTā
gayā hai ghar se to phir lauT kar nahīñ aayā
Top Urdushayar.com