mashaqqat kā ḳhazāna māñgtā hai
mirī mehnat zamāna māñgtā hai
har ik lamha dil-e-āvāra-fitrat
masāfat kā ḳhazāna māñgtā hai
muqaddar se jise māñgā thā maiñ ne
use mujh se zamāna māñgtā hai
ajab pāgal hai mere man kā panchhī
qafas meñ āshiyāna māñgtā hai
hameñ har aan āmād-e-hijrat
hamārā āb-o-dāna māñgtā hai
sitam ye hai ki ham tishna-laboñ se
sitamgar ābyāna māñgtā hai
hamāre shahr kā mard-e-subuk-sar
kulāh-e-ḳhusravāna māñgtā hai
mirā har ik munāfiq yaar mujh se
ḳhulūs-e-dostāna māñgtā he