Bakhsh Layalpuri

mere har lafz ki tauqir rahne ke liye hai

Bakhsh Layalpuri

Kapurthala, Punjab, India

1934-2002
mire har lafz kī tauqīr rahne ke liye hai
maiñ vo zinda huuñ mirī tahrīr rahne ke liye hai
sitam-gar ne jo pahnā.ī mire dast-e-talab meñ
ye mat samjho ki vo zanjīr rahne ke liye hai
mirā ā.īna-e-tasnīf detā hai gavāhī
mirā har nuqta-e-tafsīr rahne ke liye hai
rahegā to na terā zulm par roz-e-abad tak
hamāre dard kī jāgīr rahne ke liye hai
jise miir nigāhoñ ne kabhī dekhā nahīñ hai
mire dil meñ vahī tasvīr rahne ke liye hai
sar-e-bātil kiyā do-laḳht jis ne bhī jahāñ meñ
salāmat bas vahī shamshīr rahne ke liye hai
junūn-e-shauq taḳhrīb-e-jahāñ miT kar rahegā
magar har jazba-e-ta.amīr rahne ke liye hai
na likkhā sher koī aur samajh baiThe haiñ nādāñ
adab meñ harba-e-tash.hīr rahne ke liye hai
guzar jā.eñge ham dār-e-fanā se 'baḳhsh' lekin
hamāre shahr kī tāsīr rahne ke liye hai
Top Urdushayar.com