asīrān-e-havādis kī girāñ-jānī nahīñ jaatī
jahāñ se ḳhūn-e-insānī kī arzānī nahīñ jaatī
daroġh-e-maslahat ke dekh kar āsār chehroñ par
haqīqat-āshnā āñkhoñ kī hairānī nahīñ jaatī
nishān-e-khusravī to miT ga.e haiñ lauh-e-ālam se
kulāh-e-khusravī se bū-e-sultānī nahīñ jaatī
añdherā is qadar hai shahr par chhāyā siyāsat kā
kisī bhī shaḳhs kī ab shakl pahchānī nahīñ jaatī
zamāna karbalā kā naam sun kar kaañp uThtā hai
abhī tak ḳhūn-e-shabbīrī kī jaulānī nahīñ jaatī
fuzūñ-tar aur hote jā rahe haiñ chaak dāman ke
rafū-gar se hamārī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
ye maanā raushnī ko pī ga.ī zulmat jihālat kī
magar is zarra-e-ḳhākī kī tābānī nahīñ jaatī