Bakhsh Layalpuri

kabhi aankhon pe kabhi sar pe biThae rakhna

Bakhsh Layalpuri

Kapurthala, Punjab, India

1934-2002
kabhī āñkhoñ pe kabhī sar pe biThā.e rakhnā
zindagī talḳh sahī dil se lagā.e rakhnā
lafz to lafz haiñ kāġhaz se bhī ḳhushbū phūTe
safha-e-vaqt pe vo phuul khilā.e rakhnā
chāñd kyā chiiz hai sūraj bhī ubhar aa.egā
zulmat-e-shab meñ lahū dil kā jalā.e rakhnā
hurmat-e-harf pe ilzām na aane paa.e
suḳhan-e-haq ko sar-e-dār sajā.e rakhnā
farsh to farsh falak par bhī sunā.ī degā
merī āvāz meñ āvāz milā.e rakhnā
kabhī vo yaad bhī aa.e to malāmat karnā
kabhī us shoḳh kī tasvīr banā.e rakhnā
'baḳhsh' sīkhā hai shahīdān-e-vafā se ham ne
haath kaT jaa.eñ alam muñh se uThā.e rakhnā
Top Urdushayar.com