samundar kā tamāsha kar rahā huuñ
maiñ sāhil ban ke pyāsā mar rahā huuñ
agarche dil meñ sahrā-e-tapish hai
magar maiñ Dūbne se Dar rahā huuñ
maiñ apne ghar kī har shai ko jalā kar
shabistānoñ ko raushan kar rahā huuñ
vahī laa.e mujhe dār-o-rasan par
maiñ jin logoñ kā paiġhambar rahā huuñ
vahī patthar lagā hai mere sar par
azal se jis ko sajde kar rahā huuñ
tarāshe shahr maiñ ne 'baḳhsh' kyā kyā
magar ḳhud tā-abad be-ghar rahā huuñ