Bakhsh Layalpuri

usi ke zulm se main haalat-e-panah mein tha

Bakhsh Layalpuri

Kapurthala, Punjab, India

1934-2002
usī ke zulm se maiñ hālat-e-panāh meñ thā
har ik nafas mirā jis shaḳhs kī panāh meñ thā
chamak rahā thā vo ḳhurshīd-e-do-jahāñ kī tarah
vo haath jo ki garebān-e-kaj-kulāh meñ thā
ufuq ufuq ko payām-e-sahr diyā maiñ ne
mirā qayām agarche shab-e-siyāh meñ thā
mahak rahe the nazar meñ gulāb sapnoñ ke
khulī jo aañkh to dekhā maiñ qatl-gāh meñ thā
mire harīf mujhe rauñd kar nikal na sake
fasīl-e-sañg kī sūrat khaḌā maiñ raah meñ thā
jo baat baat pe kartā thā inqalāb kī baat
sajī salīb to vo hāmiyān-e-shāh meñ thā
adū kī fauj ne luuTā to kyā sitam ye hai
'ra.īs'-e-shahr bhī shāmil isī sipāh meñ thā
Top Urdushayar.com