Bakhsh Layalpuri

paDe hain rah mein jo log be-sabab kab se

Bakhsh Layalpuri

Kapurthala, Punjab, India

1934-2002
paḌe haiñ raah meñ jo log be-sabab kab se
pukārtī hai unheñ manzil-e-talab kab se
ye aur baat makīnoñ ko kuchh ḳhabar na huī
lagā rahe the muhāfiz magar naqab kab se
koī bhī harba-e-tash.hīr kārgar na huā
tamāshbīñ hī rahī shohrat-e-adab kab se
ukhaḌ ga.ī haiñ tanābeñ sitam ke ḳhemoñ kī
ulaT ga.ī hai bisāt-e-hasab-nasab kab se
na hausla hai duā kā na aah par hai yaqīñ
ki ham se ruuTh gayā hai hamārā rab kab se
samundaroñ se koī mauj-e-sar-buland uThe
ki sāhiloñ pe taḌapte haiñ jāñ-ba-lab kab se
vo ham ne chun diye tanqīd kī salīboñ par
machal rahe the jo kuchh harf zer-e-lab kab se
Top Urdushayar.com