bantī nahīñ baat to phir baat kyā kareñ
bigḌe hue haiñ shahr ke hālāt kyā kareñ
aatī nahīñ giraft meñ sāñsoñ kī Doriyāñ
haiñ gardish-e-mudām meñ din-rāt kyā kareñ
lafzoñ kī ek fauj hai apnī kamān meñ
muñh meñ nahīñ zabāñ to maqālāt kyā kareñ
TuuTā ta.alluqāt kā har ek silsila
ThanDe paḌe haiñ vasl ke jazbāt kyā kareñ
ai dost chāra-sāzī-e-chāra-garāñ na pūchh
bad-tar hue haiñ aur bhī hālāt kyā kareñ
aish-o-tarab kī mahfileñ un kā nasīb haiñ
ham ko mile haiñ dard ke naġhmāt kyā kareñ