Sabir Zafar

mein sochta hun jise aashna bhi hota hai

Sabir Zafar

1949
meñ sochtā huuñ jise āshnā bhī hotā hai
magar ḳhayāl se vo māvarā bhī hotā hai
sivā.e shā.irī zindāñ meñ kuchh kiyā hī nahīñ
vagarna band-e-qafas kholnā bhī hotā hai
ziyāda-tar maiñ anāsir se duur dekhūñ use
vo ḳhaak o ātish o aab o havā bhī hotā hai
maiñ TuuT jaatā huuñ aur duur jā bikhartā huuñ
agar judā.ī kā sadma zarā bhī hotā hai
har ek rāste par ham to jā ke dekheñ magar
jidhar na jaanā ho vo rāstā bhī hotā hai
usī ke dar ke faqat ho ke rah ga.e haiñ ham
sunā hai jab se ki darvāza vā bhī hotā hai
'zafar' vahāñ ki jahāñ ho koī bhī had qaa.em
faqat bashar nahīñ hotā ḳhudā bhī hotā hai
Top Urdushayar.com