tārīkiyoñ meñ jal ke vo qindīl kī tarah
sahrā-badan se guzrī hai ik jhiil kī tarah
kal raat mere jism ne mahsūs kī thakan
do-gām ke safar meñ ka.ī mel kī tarah
be-tāl kā ilāqa hai chalnā sambhāl kar
ulTe laTak na jaao abābīl kī tarah
kal raat mujh pe hamla kiyā ek ḳhvāb ne
murda badan pe bhūkī kisī chiil kī tarah
maiñ thā nashe meñ raat koī rū-ba-rū to thā
lagtā thā ḳhadd-o-ḳhāl se jibrīl kī tarah