Meraj Naqvi

nahin misal koi aisa be-misal badan

Meraj Naqvi

nahīñ misāl koī aisā be-misāl badan
hai ḳhud javāb vo apnā hai ḳhud savāl badan
mahāz-e-jañg-e-vafā pe shikast-e-ishq ke ba.ad
paḌā hai dasht meñ ab tak vo pā.emāl badan
tilism-e-kun-fayakūn kis ne paḌh ke phūñk diyā
zarā sī ḳhaak huī kaisā bā-kamāl badan
tire badan kī masāfat ko tai kiyā to magar
paḌā huā hai abhī tak mirā niDhāl badan
shu.ūr-o-fikr pe ġhālib hai jism kā mausam
har ek ḳhvāb badan hai har ik ḳhayāl badan
Top Urdushayar.com