ek aaseb kā saaya thā jo sar se utrā
jaise ik tā.ir-e-manhūs shajar se utrā
yuuñ lagā jaise girāñ-bārī-e-shab ḳhatm huī
ġhāza-e-kizb-o-riyā rū-e-sahar se utrā
apnā ghar bhī mujhe zindāñ kī tarah lagtā thā
zañg-ālūd sā taalā mire dar se utrā
shāyad ab talḳh haqā.eq se shanāsā.ī ho
kor-chashmī kā ye parda sā nazar se utrā
ġham kā iz.hār nahīñ ashk-e-nadāmat jaano
qatra-e-āb agar dīda-e-tar se utrā
rahrav-e-dasht-e-balā ranj-e-safar bhūlegā
taḳht-e-bilqīs agar gard-e-safar se utrā
ab shafaq-rañg ujāloñ kā samāñ dekheñge
halqa-e-abr-e-siyah shams-o-qamar se utrā