Devmani pandey

kahan gai ehsas ki KHushbu fana hue jazbaat kahan

Devmani pandey

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1958
kahāñ ga.ī ehsās kī ḳhushbū fanā hue jazbāt kahāñ
ham bhī vahī haiñ tum bhī vahī ho lekin ab vo baat kahāñ
mausam ne añgḌā.ī lī to muskā.e kuchh phuul magar
man meñ dhuum machā de ab vo rañgoñ kī barsāt kahāñ
mumkin ho to khiḌkī se hī raushan kar lo ghar-āñgan
itne chāñd sitāre le kar phir aa.egī raat kahāñ
ḳhvāboñ kī tasvīroñ meñ ab aao bhar leñ rañg nayā
chāñd samundar kashtī ham tum ye jalve ik saath kahāñ
ik chehre kā aks sabhī meñ DhūñD rahā huuñ barsoñ se
lākhoñ chehre dekhe lekin us chehre sī baat kahāñ
chamak damak meñ Duub ga.e haiñ pyaar vafā ke aslī rañg
'dev' jahāñ vāloñ meñ ab vo pahle se jazbāt kahāñ
Top Urdushayar.com