udāsī ke manzar makānoñ meñ haiñ
añdhere abhī āshiyānoñ meñ haiñ
mohabbat ko mausam ne āvāz dī
diloñ kī patañgeñ uḌānoñ meñ haiñ
zabāñ vaale bhī kaash samjheñ kabhī
vo dukh dard jo be-zabānoñ meñ haiñ
parindoñ kī parvāz qaa.em rahe
ka.ī ḳhvāb shāmil uḌānoñ meñ haiñ
kahāñ manzileñ gum pata hī nahīñ
nigāheñ magar āsmānoñ meñ haiñ
gharoñ meñ haiñ mahrūmiyoñ ke nishāñ
ki ab raunaqeñ bas dukānoñ meñ haiñ