ā.īne meñ dekh ke chehra be-shak maiñ hairān huā
dil kī duniyā luuT gayā hai jo dil kā mehmān huā
tū ne apnā chain gañvāyā merī niiñd uḌā dī hai
dil ke nāzuk rishte meñ to donoñ kā nuqsān huā
tere sāñsoñ kī ḳhushbū se mahak rahī hai tanhā.ī
terā ek tabassum mere jiine kā sāmān huā
kahāñ ga.e vo jin ke dam se khetoñ meñ hariyālī thī
suunī kyuuñ gaañv kī galiyāñ kyuuñ āñgan vīrān huā
kitne fankāroñ ne ab tak jazboñ ko alfāz diye
apne ġham kā sarmāyā hī shā.ir kī pahchān huā
vaise to āsān nahīñ thā khulnā band kivāḌoñ kā
dāḳhil honā dil meñ lekin dastak se āsān huā