kyā chāhā thā kyā sochā thā kyā guzrī kyā baat huī
dil bhī TuuTā ghar bhī chhūTā rusvā.ī bhī saath huī
vo kyā jaane us se bichhaḌ ke ham par kyā kyā guzrī hai
sahrā jaisā din kā aalam parbat jaisī raat huī
us ke ḳhat ko kaise paḌhūñ maiñ saare lafz to bhīge haiñ
merī chhat par bādal chhā.e us ke ghar barsāt huī
yuuñ kho.e ham yaad meñ us kī goyā ḳhud ko bhuul ga.e
kisī ḳhabar hai kab din niklā kise pata kab raat huī
dil ke pyāse āñgan meñ kal yaad ke bādal yuuñ aa.e
der talak ye tan-man bhīgā be-mausam barsāt huī