talḳhī-e-nau shakar-āmez huī jaatī hai
zindagī aur dil-āvez huī jaatī hai
kis ne lafzoñ pe ye chupke se kamandeñ pheñkīñ
jo zabāñ hai vo kam-āmez huī jaatī hai
dast-e-qātil meñ nazar aatī hai ik shāḳh-e-gulāb
zindagī phir bhī to ḳhūñ-rez huī jaatī hai
mahmil-e-vaqt meñ raushan haiñ farāsat ke charāġh
phir bhī auhām kī lau tez huī jaatī hai
jab se gulfām-nigārish hue ġhālib ke ḳhutūt
shāḳh-e-tahrīr bhī gul-rez huī jaatī hai
tishnagī ban ke chhalak jaa.eñ na alfāz kahīñ
guftugū hoñToñ pe labrez huī jaatī hai
ab dhuñdlakoñ ke sahāre haiñ ġhanīmat 'mutrib'
raushnī fitrat-e-chañgez huī jaatī hai