Mutrib Nizami

wo samne bhi nahin phir bhi un ka shak kyun hai

Mutrib Nizami

vo sāmne bhī nahīñ phir bhī un kā shak kyuuñ hai
khilā nahīñ hai agar phuul to mahak kyuuñ hai
ye jū-e-shīr kahīñ jū-e-ḳhūñ na ban jaa.e
ki azm-e-tesha-o-farhād meñ chamak kyuuñ hai
isī ko kyā maiñ mohabbat kī zindagī kah duuñ
ye silsila tirī yādoñ kā aaj tak kyuuñ hai
hamārī āñkhoñ kā sāvan bhī ye samajh na sakā
jazīre ḳhushk haiñ bhīgī huī palak kyuuñ hai
tumhāre ḳhat meñ mohabbat ke rañg bikhre haiñ
jo ye ġhalat hai to lafzoñ meñ phir dhanak kyuuñ hai
mire lahū meñ gulāboñ kā rañg hai 'mutrib'
maiñ kyā batā.ūñ ki is shahd meñ namak kyuuñ hai
Top Urdushayar.com