phuul ko ḳhaar likheñ ḳhaar ko shabnam likkheñ
zaḳhm gahrā ho to āsūda-e-marham likkheñ
narm alfāz hī tahrīr ke shā.inda haiñ
ye munāsib hai ki kāġhaz ko bhī resham likkheñ
ek ik harf se ḳhushbu-e-bahārāñ jaage
saade kāġhaz pe kabhī phuul agar ham likkheñ
ġham ko rañgīn banā deñge mohabbat ke ḳhutūt
aap kuchh ham ko likheñ aap ko kuchh ham likkheñ
husn-e-ijmāl meñ tafsīr ke pahlū haiñ bahut
kuchh ziyāda bhī agar likhnā ho to kam likheñ