mahke jab rāt-kī-rānī to mujhe ḳhat likhnā
choT ubhar aa.e purānī to mujhe ḳhat likhnā
kuchh na kah saknā zabānī to mujhe ḳhat likhnā
jab ho ashkoñ meñ ravānī to mujhe ḳhat likhnā
chehra paḌh letā huuñ maiñ aate hue mausam kā
koī rut aa.e suhānī to mujhe ḳhat likhnā
chup hai andāz-e-nigārish to koī baat nahīñ
bol uTheñ lafz-o-ma.ānī to mujhe ḳhat likhnā
maiñ huuñ lamhoñ ko kasauTī pe parakhne vaalā
vaqt ho sone kā paanī to mujhe ḳhat likhnā
ban ke aa jā.ūñgā pañkhe kā hasīñ shahzāda
sunñā pariyoñ kī kahānī to mujhe ḳhat likhnā
kabhī va.ade kā hasīñ phuul diyā thā tum ne
yaad aa.e vo nishānī to mujhe ḳhat likhnā
phuul ke zaḳhmoñ kī tasvīr tumheñ bhejūñgā
kabhī mausam jo ho dhānī to mujhe ḳhat likhnā