Mutrib Nizami

bayan-e-shauq ko mafhum se juda na kare

Mutrib Nizami

bayān-e-shauq ko mafhūm se judā na kare
sadā vahī hai jo lafzoñ ko be-sadā na kare
kiran kiran ne sambhal kar ye ham ko dars diyā
misāl-e-ashk koī aañkh se girā na kare
havā ke jhoñkoñ se ḳhushbū ke parde hilte haiñ
harīm-e-lāla-o-gul meñ koī chhupā na kare
hamārī āñkheñ shab-o-roz jaise jaltī haiñ
koī charāġh jale bhī to yuuñ jalā na kare
hameñ charāġh bhī haiñ aur hameñ havā bhī haiñ
hamārī ziist pe ab koī tabsira na kare
baḌhegī aur bhī kuchh fāsloñ kī tanhā.ī
jo tez-gām hai vo raah meñ rukā na kare
tire ḳhayāl tirī yaad meñ jo guzrā hai
kabhī vo lamha kisī jā pe āshiyāna kare
sadā-e-ġham se laraztī hai zindagī 'mutrib'
lachaktī shāḳh se bhī phuul ab girā na kare
Top Urdushayar.com