lāla-o-gul kā lahū bhī rā.egāñ hone lagā
pañkhuḌī par qatra-e-shabnam garāñ hone lagā
rafta rafta aañkh se aañsū ravāñ hone lagā
vaqt ke ḳhāke meñ naqsh-e-jāvedāñ hone lagā
is tarah tahrīr ke alfāz lau dene lage
dekhte hī dekhte kāġhaz dhuāñ hone lagā
silsile tahrīr ke manzil-ba-manzil tai hue
lafz jo maiñ ne likhā vo kārvāñ hone lagā
jab se nazreñ mahv-e-taz.īn-e-nazārā ho ga.iiñ
aa.ina ijz-e-numā.ish kī zabāñ hone lagā
kyā ḳhizāñ ne rañg-o-nik.hat par kamandeñ Daal diiñ
kyuuñ lab-e-gul kā tabassum bhī fuġhāñ hone lagā
raushnī kī saltanat bhī gul-badāmāñ ho ga.ī
ek sho.ala mom par jab hukmarāñ hone lagā