maiñ ik kiran huuñ ujālā hai tamkanat merī
tamām rañgoñ se bhī hai munāsibat merī
maiñ ik ḳhalā huuñ na buniyād hai na chhat merī
magar haiñ donoñ jahāñ phir bhī milkiyat merī
guzar rahā huuñ nasheb-o-farāz se lekin
salā-e-ām hai phir bhī salāhiyat merī
kabhī mahaktā thā jo lucknow hinā kī tarah
isī dayār meñ likkhī hai shahriyat merī
kabhī bhī jal nahīñ saktī haiñ uñgliyāñ 'mutrib'
har ik charāġh kī lau par hai saltanat merī