Zafar Kaleem

baKHt jage to jahan-dida si ho jati hai

Zafar Kaleem

Nagpur, Maharashtra, India

1938
baḳht jaage to jahāñ-dīda sī ho jaatī hai
shaḳhsiyat aur bhī sanjīda sī ho jaatī hai
go hama-vaqt na.ī lagtī hai duniyā lekin
shai purānī ho to bosīda sī ho jaatī hai
kaun hai vo ki jise muuñd luuñ āñkheñ dekhūñ
aañkh khul jaa.e to poshīda sī ho jaatī hai
khel hī khel meñ laḌkī vo sharārat vaalī
baat hī baat meñ sanjīda sī ho jaatī hai
maiñ vo aazar na tarāshūñ koī mūrat lekin
jis ko chhū luuñ vo tarāshīda sī ho jaatī hai
yaad aate haiñ mujhe 'mīr' ke ash.ār 'zafar'
jab tabī.at mirī ranjīda sī ho jaatī hai
Top Urdushayar.com