Zafar Kaleem

in dinon main ghurbaton ki sham ke manzar mein hun

Zafar Kaleem

Nagpur, Maharashtra, India

1938
in dinoñ maiñ ġhurbatoñ kī shaam ke manzar meñ huuñ
merī chhat TuuTī paḌī hai dūsroñ ke ghar meñ huuñ
aa.egā ik din mire uḌne kā mausam aa.egā
bas isī ummīd par maiñ apne bāl-o-par meñ huuñ
jism kī ra.anā.iyoñ meñ DhūñDte ho tum mujhe
aur maiñ kab se tumhārī ruuh ke paikar meñ huuñ
dekhte haiñ sab nazar aatī huiiñ ūñchā.iyāñ
kaun dekhegā mujhe buniyād ke patthar meñ huuñ
aap kyā rokeñgi iz.hār-e-sadāqat se mujhe
aap ko duniyā kā Dar hai maiñ ḳhudā ke Dar meñ huuñ
ai zamāne kal mirī Thokar se bachnā hai tujhe
ittifāqan aaj vaise maiñ tirī Thokar meñ huuñ
maut ban jā.ūñgā terī ai sitamgar dekhnā
mujh pe jo ḳhanjar uThegā maiñ usī ḳhanjar meñ huuñ
nafratoñ kī ik dahaktī aag hai chāroñ taraf
maiñ fasād-e-shahr ke jalte hue manzar meñ huuñ
sochtā huuñ ye bhī kaisī bad-nasībī hai 'zafar'
maiñ bahādur ho ke bhī haare hue lashkar meñ huuñ
Top Urdushayar.com