navā-e-haq pe huuñ qātil kā Dar aziiz nahīñ
paḌe jihād to apnā bhī sar aziiz nahīñ
paḌā huā huuñ sar-e-rahguzar to rahne de
tirī galī se ziyāda to ghar aziiz nahīñ
faqīr-e-shahr ko la.al-o-guhar se kyā nisbat
mire aziiz mujhe māl-o-zar aziiz nahīñ
phaloñ ko luuT ke le jaao peḌ mat kaaTo
shajar aziiz hai mujh ko samar aziiz nahīñ
vo log ham se alag apnā rāsta kar leñ
ki jin ko shahr-e-vafā kā safar aziiz nahīñ
bahut aziiz haiñ mujh ko mohabbateñ lekin
mohabbatoñ meñ siyāsat 'zafar' aziiz nahīñ