Zafar Kaleem

sard ruton mein logon ko garmi pahunchane wale hath

Zafar Kaleem

Nagpur, Maharashtra, India

1938
sard rutoñ meñ logoñ ko garmī pahuñchāne vaale haath
barf ke jaise ThanDe kyuuñ haiñ uun banāne vaale haath
miTTī ke pyāloñ meñ har din sub.h se apnī shaam kareñ
rañg-birañge phūloñ se gul-dān sajāne vaale haath
aise the hālāt ki chhūTā un kā merā saath magar
yaad bahut aate haiñ vo chūḌī khankāne vaale haath
daftar se maiñ ghar lauTūñ to pūchhe mujh se tanhā.ī
kab ā.eñge rātoñ kī taqdīr jagāne vaale haath
sūraj chāñd sitāre jugnū jo chāho so nazr kareñ
nagrī nagrī āshāoñ ke diip jalāne vaale haath
jurm nahīñ hai sachchā.ī to bejā kyuuñ ma.atūb hue
sachchā.ī kā duniyā meñ parcham lahrāne vaale haath
dariyā meñ tūfān hai lekin hai ab bhī ummīd 'zafar'
paar lagā deñge ham ko patvār chalāne vaale haath
Top Urdushayar.com