Zafar Kaleem

guman tak mein na tha mahw-e-yas kar dega

Zafar Kaleem

Nagpur, Maharashtra, India

1938
gumān tak meñ na thā mahv-e-yās kar degā
vo yuuñ milegā ki mujh ko udaas kar degā
karam karegā mire haal par magar pahle
sharāratan vo mujhe ġham-shanās kar degā
shaguftagī-e-chaman par bahut ġhurūr na kar
ḳhizāñ kā daur tujhe bad-havās kar degā
gayā vo daur ki jab ḳhaar bhī mahakte the
ye daur vo hai jo phūloñ ko naas kar degā
vo hādsa jo abhī mere saath guzrā hai
sunoge tum to tumheñ bhī udaas kar degā
use ḳhabar ki mire donoñ haath ḳhālī haiñ
mujhe yaqīn hai vo iltimās kar degā
Top Urdushayar.com