Zafar Kaleem

simTun to sifr sa lagun failun to ek jahan hun main

Zafar Kaleem

Nagpur, Maharashtra, India

1938
simTūñ to sifr sā lagūñ failūñ to ik jahāñ huuñ maiñ
jitnī ki ye zamīn hai utnā hī āsmāñ huuñ maiñ
mere hī dam-qadam se haiñ qaa.em ye naġhma-ḳhvāniyāñ
gulzār-e-hast-e-būd kā tūtī-e-ḳhush-bayāñ huuñ maiñ
mujh hī meñ zam haiñ jaan le dariyā tamām dahr ke
qatra na tū mujhe samajh ik bahr-e-be-karāñ huuñ maiñ
nāzāñ hai ḳhadd-o-ḳhāl par apne bahut agar to sun
mujh meñ sabhī ke aks haiñ ā.īna-e-jahāñ huuñ maiñ
pahle bhī maiñ qarīb thā ab bhī tire qarīb huuñ
mahsūs kar mujhe tirā ham-zād-e-jism-o-jāñ huuñ maiñ
phūloñ se pyaar kar magar mujh ko na dil-figār kar
kāñTā bhī huuñ agar to kyā phūloñ ke darmiyāñ huuñ maiñ
apnoñ meñ maiñ hī ġhair huuñ ġhairoñ se kyā gila 'zafar'
apne hī ghar meñ huuñ magar ġhairoñ ke darmiyāñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com