Zafar Kaleem

ho chuki hijrat to phir kya farz hai ghar dekhna

Zafar Kaleem

Nagpur, Maharashtra, India

1938
ho chukī hijrat to phir kyā farz hai ghar dekhnā
apnī fitrat meñ nahīñ pīchhe palaT kar dekhnā
ab vo bargad hai na vo panghaT na ab vo gopiyāñ
aise pas-manzar meñ kyā gaañv kā manzar dekhnā
jāda-e-gul kī masāfat hī nahīñ hai zindagī
zindagī karnā hai añgāroñ pe chal kar dekhnā
apne muḳhlis dostoñ par vaar maiñ kaise karūñ
koī dushman sāmne aa.e to jauhar dekhnā
pyaas hoñToñ par liye baiThā huuñ sāhil par magar
zid pe aa jā.ūñ to kuuze meñ samundar dekhnā
khiḌkiyāñ khulte hī ham hoñge nishāna vaqt kā
zaḳhm siine par sajānā ho to bāhar dekhnā
mere hāthoñ kī lakīroñ meñ hai gardish vaqt kī
merī qismat hī meñ likkhā thā ye chakkar dekhnā
zindagī bhar Thokareñ khāne se behtar hai 'zafar'
rāsta chalte hue raste ke patthar dekhnā
Top Urdushayar.com