Zafar Kaleem

ghar se nikale panw to raste simaT gae

Zafar Kaleem

Nagpur, Maharashtra, India

1938
ghar se nikāle paañv to raste simaT ga.e
ham yuuñ chale ki raah ke patthar bhī hiT ga.e
ham ne khule kivāḌ pe dastak sunī magar
vo kaun log the ki jo aa kar palaT ga.e
dar band hī rakho ki havāoñ kā zor hai
ab ke khule kivāḌ to samho ki piT ga.e
ġhārat-garī-e-zor-e-talātum are ġhazab
kashtī ke bādbān havāoñ se phaT ga.e
sahrā kī tez dhuup ghane jañgaloñ kī chhāñv
in meñ mire nasīb ke din raat baT ga.e
shohrat kī aarzū ne kiyā be-vatan hameñ
itnī baḌhī ġharaz ki usūloñ se haT ga.e
jab jab bhī maiñ nai tark-e-vatan kā kiyā ḳhayāl
qadmoñ se mere gaañv ke raste lipaT ga.e
kin se kareñ shikāyat-e-jaur-o-sitam 'zafar'
apne gale to apne hī ḳhanjar se kaT ga.e
Top Urdushayar.com