phūlā-phalā shajar to samar par bhī aa.egā
lekin isī lihāz se patthar bhī aa.egā
hālāt jab bhī shahr ke filmā.e jā.eñge
parde pe mere qatl kā manzar bhī aa.egā
be-chehra phir rahā huuñ magar is yaqīñ ke saath
ā.īna mere qad ke barābar bhī aa.egā
kab tak koī chhupegā adāvat ke ġhaar meñ
dushman kabhī to sāmne khul kar bhī aa.egā
be-vaj.h ranjishoñ se diloñ ko bachā.iye
zehnoñ kā bhed-bhāv laboñ par bhī aa.egā
behtar hai dosto ki yahīñ Daal do paḌāv
aage baḌhe to shahr-e-sitamgar bhī aa.egā
ubhreñge pastiyoñ se bhī ik roz ham 'zafar'
ūñchā.iyoñ pe apnā muqaddar bhī aa.egā