Rafat Shameem

aankh har shab ko andheron ki qaba dhoti hai

Rafat Shameem

aañkh har shab ko añdheroñ kī qabā dhotī hai
ḳhvāb kī ret meñ sūraj kā shajar botī hai
ek gumnāmī kā jañgal huuñ jahāñ shakl mirī
apnī pahchān kā har naqsh-e-yaqīñ khotī hai
duur an-dekhī sī sarhad hai ki jis ke us paar
koī bastī hai jo rātoñ ko sadā rotī hai
sat.h-e-chādar pe shikan aur sar-e-bālīñ pe nasheb
ye to tanhā.ī hai bistar pe mire sotī hai
bhūlī-bisrī huī yādoñ kī ajab bhiiḌ hai jo
dil ke darvāze pe har shaam lagī hotī hai
Top Urdushayar.com