jab ḳhvāhish-e-duniyā se koī kaam nahīñ hai
kyuuñ phir dil-e-shorīda ko ārām nahīñ hai
shāmil yahāñ isbāt meñ pahlū-e-nafī hai
kāmil kisī āġhāz kā anjām nahīñ hai
vo dhuup hai āñkhoñ meñ ki jal jaatī hai har shaam
manzar hai dhuāñ koī lab-e-bām nahīñ hai
kyā tarz-e-rifāqat hai ki milte haiñ ba-sad-shauq
par zikr-e-shanāsā.ī-o-paiġhām nahīñ hai
tañg-zarfī-e-hayyat jise kahte haiñ ġhazal kī
āfāq-e-ma.ānī hai vo ib.hām nahīñ hai