ek aise makāñ meñ Thahre haiñ
jis ke bāhar anā ke pahre haiñ
shaam panchhī kahāñ guzāreñge
shāḳh-e-gul par jale basere haiñ
ham to malba haiñ nā-shanāsī kā
TūTe-phūTe se chand chehre haiñ
aaj bāñTī hai dhuup sūraj ne
apne dāman meñ kyuuñ añdhere haiñ
jaal TuuTe mile haiñ sāhil par
kaun jaane kahāñ machhere haiñ