Rafat Shameem

TuT kar aalam-e-ajza mein bikharte hi rahe

Rafat Shameem

TuuT kar ālam-e-ajzā meñ bikharte hī rahe
naqsh-e-ta.amīr jahāñ ban ke bigaḌte hī rahe
apne hī vahm-o-tazabzub the ḳharābī kā sabab
ghar aqīdoñ ke basā.e to ujaḌte hī rahe
jaane kyā baat huī mausam-e-gul meñ ab ke
pañkh panchhī ke fazāoñ meñ bikharte hī rahe
chand yādoñ kī panāh-gāh meñ jaane kyuuñ ham
sāya-e-shām kī mānind simaTte hī rahe
ham ne har rañg se chehre ko sajāyā lekin
apnī pahchān ke āsār bigaḌte hī rahe
Top Urdushayar.com