dar kisī kā khulā nahīñ lagtā
shahr ye āshnā nahīñ lagtā
ġham hai fikr-e-ma.āsh meñ aisā
aadmī kā patā nahīñ lagtā
dost jab se hue hamāre tum
koī dushman burā nahīñ lagtā
yuuñ to milte haiñ TuuT kar lekin
rabt vo der-pā nahīñ lagtā
va.ada hūroñ kā ba.ad marne ke
bandagī kā silā nahīñ lagtā