chashm-e-mushtāq ne ye ḳhvāb ajab dekhe haiñ
dil ke ā.īne meñ sau aks haiñ sab tere haiñ
zindagī se bhī nibāheñ tujhe apnā bhī kaheñ
is kashākash meñ shab o roz guzar jaate haiñ
ḳhāna-e-dil meñ thā kyā kyā na ummīdoñ kā hujūm
ḳhāna vīrāñ hai to rāzī-ba-razā baiThe haiñ
daulat-e-ġham bhī ḳhas-o-ḳhāk-e-zamāna meñ ga.ī
tum ga.e ho to mah-o-sāl kahāñ Thahre haiñ
abhī kuchh der na Duub ai mah-e-tābān-e-firāq
abhī kuchh ḳhvāb bhī jī bhar ke kahāñ dekhe haiñ