muhīt-e-ḳhvāb se ik bād-e-tah-nashīñ ubhrī
havā-e-sub.h se ik ġhurfa-e-ḳhayāl khulā
masām-e-jāñ meñ hai ik dast-e-āshnā kī mahak
ġhubār-e-dasht meñ raushan hai naqsh-e-pā kis kā
vo kaisī diid kī saa.at thī phir nahīñ aa.ī
vo kaisā ḳhvāb thā ik umr chashm-e-tar meñ rahā
jo intizār abad tak hai jism-o-jāñ ke firāq
jo ho sake to ab is raat ko abad se milā
bahut sambhāl ke rakkhī hai ḳhalvat-e-jāñ meñ
vo ek sham.a ki daur-e-tarab bujhā na sakā