ġham-e-dil ham-rahī kare na kare
anjum-e-sub.h ham to Duub chale
ḳhāmushī kis ke naqsh-e-pā pe miTī
rāste kis ko DhūñDne nikle
chāñd taare bhī shab-gazīda haiñ
sar-e-mizhgāñ koī charāġh jale
paas thī manzil-e-murād magar
ham ġham-e-raftagāñ ke saath rahe
sham-e-shab-tāb ek raat jalī
jalne vaale tamām umr jale