palak jhapakte meñ kaTte haiñ roz o shab mah o saal
jo fāsle the man o tū ke darmiyāñ na rahe
vafā rifāqat-e-yak-umr kuchh nahīñ lekin
ye chāhtā huuñ ki ro.uuñ bahut gale mil ke
masāf-e-zīst meñ vo ran paḌā hai aaj ke din
na maiñ tumhārī tamannā huuñ aur na tum mere
rafīq-o-yār kahāñ ai hijāb-e-tanhā.ī
bas apne chehre ko taktā huuñ ā.īna rakh ke
hazār shor-e-tamāshā ho aañkh baaz na ho
vo ḳhvāb dekh ke baiThā huuñ umr bhar ke liye