karoḌoñ saal kā dekhā huā tamāshā hai
ye raqs-e-zīst ki be-qasd-o-be-irāda hai
ajiib mauj-e-subuk-sair thī havā-e-jahāñ
guzar ga.ī to koī naqsh hai na jaada hai
nashāt lamhe kī vo qīmateñ chukā.ī haiñ
ki ab zarā sī masarrat pe dil laraztā hai
akelā maiñ hī nahīñ ai tamāsha-gāh-e-jahāñ
jo sab ko dekh rahā hai vo ḳhud bhī tanhā hai
usī se rishta-e-dil dil usī rū-gardāñ
usī ko DhūñD rahā huuñ usī se jhagḌā hai