Mufti Sadruddin Aazurda

ek baat par bigDe gae na jo umr-bhar mile

Mufti Sadruddin Aazurda

Delhi, India

ik baat par bigḌe ga.e na jo umr-bhar mile
us se tarīq sulh ke kyā sulh-gar mile
bāham sulūk thā pa tire daur-husn meñ
ye rasm uTh ga.ī ki bashar se bashar mile
dil mahv-e-chashm-e-yār thā bīmār ho gayā
kuchh un parstishoñ kā bhī āḳhir samar mile
ai naala tū ne saath diyā aah kā to kyā
ummīd kyā asar kī jo dū be-asar mile
sadma jigar pe pahuñche to ho dil meñ kyuuñ na dard
kyā farq kuchh judā nahīñ haiñ dil jigar mile
ham ko hamāre tāl-e-bad ne Dubo diyā
achchhe the gar nasīb to kyuuñ chashm-e-tar mile
dho.ūñ sad-āb-e-teġh se ai pamba jo kabhū
dāman se tere dāman dāġh-e-jigar mile
ummīd-e-bū meñ us kī mile yuuñ sabā se ham
jis tarah be-ḳhabar se koī be-ḳhabar mile
jo kuchh na dekhnā thā so vo dekhnā paḌā
us bevafā se pahle the kyā dekh kar mile
dekhe hunar jo apne hī vo jaane us kā kaam
ham ko to aib dekh ke apne hunar mile
mehr-e-jahāñ-faroz dikhā duuñ jabīñ ko maiñ
gar sañg-e-āstāna-e-ḳhairul-bashar mile
milne se us kī ghaTtī hai kyā terī shān-e-husn
'āzurdā' ḳhasta-jāñ bhī mile tū agar mile
Top Urdushayar.com