ye shahr shahr kī ābādiyāñ fanā kī taraf
ye jītī-jāgtī āñkhoñ meñ vahshat-e-sahrā
mohabbatoñ ke basere nahīñ makānoñ meñ
humakte bachchoñ pe āseb-e-vaqt kā saayā
balā-e-roz-e-jazā Tal ga.ī saroñ se magar
diloñ kī tah meñ dhaḌaktī hai haibat-e-fardā
havas vo kāsa-e-sā.il ki har nafas ḳhālī
baham hai daulat-e-kaunain dil tahī-māya
ye mere ahd kī maḳhlūq jī rahī hai magar
nafas kī āmad-o-shud par madār hai is kā