nāloñ se mere kab tah-o-bālā jahāñ nahīñ
kab āsmāñ zamīn o zamīñ āsmāñ nahīñ
āñkhoñ se dekh kar tujhe sab mānñā paḌā
kahte the jo hamesha chunīñ hai chunāñ nahīñ
us bazm meñ nahīñ koī āgāh-e-dard kab
vaañ ḳhanda zer-e-lab idhar ashk-e-nihāñ nahīñ
afsurda-dil na ho dar-e-rahmat nahīñ hai band
kis din khulā huā dar-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ
lab band hoñ to rauzan-e-sīna ko kyā karūñ
thamtā to mujh se nāla-e-ātish-ināñ nahīñ
milnā tirā ye ġhair se ho bahr-e-maslahat
ham ko to sādgī se tirī ye gumāñ nahīñ
ai dil tamām naf.a hai saudā-e-ishq meñ
ik jaan kā ziyāñ hai so aisā ziyāñ nahīñ
be-vaqt aa.e dair meñ kyā shorisheñ kareñ
ham piir o pīr-e-mai-kada bhī naujavāñ nahīñ
kaTtī kisī tarah se nahīñ ye shab-e-firāq
shāyad ki gardish aaj tujhe āsmāñ nahīñ
'āzurdā' hoñT tak na hile us ke rū-ba-rū
maanā ki aap sā koī jādū-bayāñ nahīñ