Ramzan Ali Sahar

zindagi mujhko kahan le aai hai

Ramzan Ali Sahar

Mumbai, Maharashtra, India

1947
zindagī mujh ko kahāñ le aa.ī hai
sāmne dariyā hai pīchhe khaa.ī hai
mujh ko ġhairoñ se nahīñ shikva koī
thā jo apnā vo bhī to harjā.ī hai
bad-nasībī ko koī apnā.e kyuuñ
phir mirī jānib hī vo lauT aa.ī hai
band muTThī meñ na jugnū ko karo
Dhal gayā hai din to phir shab aa.ī hai
kuchh na pā.egā to sāhil par 'sahar'
jā vahīñ par jis jagah gahrā.ī hai
Top Urdushayar.com