haq mirā mujh ko mire yaar nahīñ dete haiñ
dhuup meñ sāya-e-dīvār nahīñ dete haiñ
kaise dariyā ko karūñ paar ki mere mohsin
naav to dete haiñ patvār nahīñ dete haiñ
apnī nāmūs kī aatī hai hifāzat jin ko
jaan de dete haiñ dastār nahīñ dete haiñ
ḳhūgar-e-amn banāne kī hai ḳhvāhish jin ko
apne bachchoñ ko vo talvār nahīñ dete haiñ
ḳhud to 'āsī' ye basar karte haiñ ārām ke saath
chain nādāroñ ko zardār nahīñ dete haiñ