jo nahīñ kiyā ab tak be-hisāb karnā hai
apne har ravayye se ijtināb karnā hai
ab to kaam aa.egī be-gumān saffākī
ḳhush-gavār phūloñ ko āftāb karnā hai
rañg apnī chhatrī kā dhuup ne miTā Daalā
sub.h hone se pahle phir ḳhizāb karnā hai
sarfarosh lahroñ kī sarfaroshiyāñ kab tak
sarfarosh lahroñ ko zer-e-āb karnā hai
rāste zehānat ke tājiroñ pe khulte haiñ
is sadī ke chehroñ ko be-naqāb karnā hai