lahūluhān samundar bhī dekhnā hai abhī
burīda halq pe ḳhanjar bhī dekhnā hai abhī
abhī se dasht-e-balā se farāġhateñ kaisī
buland hotā huā sar bhī dekhnā hai abhī
musālahat kahāñ hogī sipāh-e-shām ke saath
zabāñ kī nok pe ḳhanjar bhī dekhnā hai abhī
namīda chashm-e-masāfat kī intihā bhī nahīñ
udaas nasl ko zad par bhī dekhnā hai abhī
tumhāre ḳhvāb mirī uñgliyoñ se bāhar haiñ
tumhāre ḳhvāb ko chhūkar bhī dekhnā hai abhī